Husn-e-azal Ka Jalwa Hamari Nazar Mein Hai

husn-e-azal ka jalwa hamari nazar mein hai

jo tur par hua tha dil-e-dida-war mein hai

dair o haram mein kis liye aawara-gardiyan

jis ki tujhe talash hai wo dil ke ghar mein hai

jo dekhne ki aankh hai tujh ko nahin mili

wo nur qad mein warna shajar mein hajar mein hai

KHamoshiyon mein mahfil-e-anjum ki us ko dekh

hangama-mast kyun tu numud-e-sahar mein hai

dekha hai aur phir nahin aaya nazar tujhe

wo husn wo jalal jo shams o qamar mein hai

us ko natije illat-e-ghai ki is ko dhun

farq is qadar hi be-KHabar o ba-KHabar mein hai

DhunDa hai jis ne us ne hi paya suna nahin

likkha hua ye hukm qaza-o-qadar mein hai

han han KHuda KHuda hi hai aur hai bashar bashar

is uqde ka jo hal hai wo qalb-e-bashar mein hai

wo bhi to hain nazara-e-kul juz mein hai jinhen

poshida raaz-e-did to husn-e-nazar mein hai

hai ishq juzw-e-la-yatajazza yaqin jaan

ye qimat-e-majaz-o-haqiqat KHatar mein hai

kya shauq-e-did tujh pe to ghaalib hai lutf-e-did

jo baat tere dil mein hai apni nazar mein hai

nikle na phans ke gesu-e-pur-pech-o-KHam se dil

sahil pe KHak pahunche jo kashti bhanwar mein hai

ulfat hai kis ki kaisi mohabbat kahan ka ishq

madum tu to fikr-e-dahan-o-kamar mein hai

naqis thi ibtida to hai anjam-e-ishq bhi

be-rabti mubtada mein jo thi wo KHabar mein hai

'kaifi' masih-e-sher hain ahbab aur bhi

ek tujh se jaan-e-taza nahin is Dhachar mein hai

(1045) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn-e-azal Ka Jalwa Hamari Nazar Mein Hai In English By Famous Poet Dattatriya Kaifi. Husn-e-azal Ka Jalwa Hamari Nazar Mein Hai is written by Dattatriya Kaifi. Read famous Poem Husn-e-azal Ka Jalwa Hamari Nazar Mein Hai for youth and Student by Dattatriya Kaifi. Free Download Husn-e-azal Ka Jalwa Hamari Nazar Mein Hai in PDF.