Darpan Diya Hun Dil Ka Main Us Dilruba Ke Hath

darpan diya hun dil ka main us dilruba ke hath

darpan mein wo piya hai wo darpan piya ke hath

us qibla-ru ki dekh ke mehrab-e-abr wan

saf bandh khul rahe hain mizha jiyun dua ke hath

har waqt be-hijab ho kyunkar kare nigah

hai iKHtiyar chashm-e-piya ka haya ke hath

kis rang sun lage hai kaf-e-pa kun shoKH ki

dil KHun ho raha hai hamara hina ke hath

gulgun qaba na mar taghaful ki tegh sun

hai qatl aashiqan ka teri yak ada ke hath

barja hai barg-e-gul sun kafan us kun hue nasib

jo kui hua shahid wo gul-gun qaba ke hath

hai chaak chaak ghuncha-e-dil aaj aah sun

jyun chaak-e-pairahan kun kiya gul saba ke hath

kahte hain aashiqan yu mera haal dekh kar

shayad tun dil diya hai kisi bewafa ke hath

darkar nin hai mujh kun kabutar ki qasidi

bheja hun gul-badan kun main nama saba ke hath

(803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darpan Diya Hun Dil Ka Main Us Dilruba Ke Hath In English By Famous Poet Daud Aurangabadi. Darpan Diya Hun Dil Ka Main Us Dilruba Ke Hath is written by Daud Aurangabadi. Read famous Poem Darpan Diya Hun Dil Ka Main Us Dilruba Ke Hath for youth and Student by Daud Aurangabadi. Free Download Darpan Diya Hun Dil Ka Main Us Dilruba Ke Hath in PDF.