Dil Kun Dildar Ke Niyaz Kare

dil kun dildar ke niyaz kare

tan kun aaram-o-sukh sun baz kare

hue tab rag-e-ishq sun aagah

rag-e-jaan jab ki tar-e-saz kare

is suKHan ka ajab hai afsana

jo sune us kun ahl-e-raaz kare

said karne ke tain kabutar-e-ishq

tair-e-dil misal-e-baz kare

harf-e-haq par agar hai dil sabit

misl-e-mansur sar niyaz kare

aashiqan kun niyaz hai lazim

naznin gar ada sun naz kare

shoala-e-ishq us pe hue raushan

shama san dil kun jo gudaz kare

pahunchne ilm kun haqiqat ke

sair az nusKHa-e-majaz kare

koi us sarw-qad kun ja bolo

dars dikhla ke sarfaraaz kare

khol kar zulf-e-ambarin yak-bar

rishta-e-shauq kun daraaz kare

jo paDhe tere sher kun 'daud'

aaKHirash dil kun ishq-baz kare

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Kun Dildar Ke Niyaz Kare In English By Famous Poet Daud Aurangabadi. Dil Kun Dildar Ke Niyaz Kare is written by Daud Aurangabadi. Read famous Poem Dil Kun Dildar Ke Niyaz Kare for youth and Student by Daud Aurangabadi. Free Download Dil Kun Dildar Ke Niyaz Kare in PDF.