Waqt Ki Sadiyan

na jaane kitni sadiyon se zamana

misal-e-mauj bahta aa raha hai

sukun ka rang us ko kab mila hai

pareshan hai ye kyun kis ko pata hai

ye betabi har ek lamhe ki kya hai

kabhi aisa bhi hota hai ki dariya

liye tufan hazaron apne andar

sukun se par nazar aata hai bahar

kabhi aisa bhi hota hai zamana

kashakash se bhara hota hai lekin

nazar aata hai ek nuqte pe sakin

zamana kab magar sakin raha hai

ki chalta hi raha hai ye zamana

dama-dam pai-ba-pai lamha-ba-lamha

kabhi aisa bhi hota hai ki rahi

nazar aata hai kuchh rukta hua sa

hirasan muzmahil thakta hua sa

magar rahi safar mein kab ruka hai

ki rahi zindagi ka gar rukega

yaqinan apni manzil par rukega

magar ye zindagi to be-karan hai

nigah-e-shauq ki manzil kahan hai

ki har manzil faqat wahm-o-guman hai

ye hasti jehd-e-gham ki dastan hai

ba-zahir hai subuk raftar-o-kamzor

ghanim-e-shauq ho madd-e-muqabil

to us ka har-nafas aatish-fishan hai

hai yun to zindagi kitni subuk-rau

ajab ek ek lamhe ki tag-o-dau

ye ek lamha guzarta hi nahin hai

magar jab is nazar ke samne se

guzarti hai KHirad bijli ki surat

dikha kar ek anokha sa karishma

to yun mahsus hota hai ki jaise

zamana kitna aage ja chuka hai

zamana aur bhi aage baDhega

liye baham subuk-raftar lamhe

guzarta jaega sadiyon ko raunde

KHirad ki rahnumai ke sahaare

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqt Ki Sadiyan In English By Famous Poet Daud Ghazi. Waqt Ki Sadiyan is written by Daud Ghazi. Read famous Poem Waqt Ki Sadiyan for youth and Student by Daud Ghazi. Free Download Waqt Ki Sadiyan in PDF.