Be-had Bechaini Hai Lekin Maqsad Zahir Kuchh Bhi Nahin

be-had bechaini hai lekin maqsad zahir kuchh bhi nahin

pana khona hansna rona kya hai aaKHir kuchh bhi nahin

apni apni qismat sab ki apna apna hissa hai

jism ki KHatir lakhon saman ruh ki KHatir kuchh bhi nahin

us ki bazi us ke mohre us ki chaalen us ki jit

us ke aage sare qadir mahir shatir kuchh bhi nahin

us ka hona ya na hona KHud mein ujagar hota hai

gar wo hai to bhitar hi hai warna ba-zahir kuchh bhi nahin

duniya se jo paya us ne duniya hi ko saunp diya

ghazlen nazmen duniya ki hain kya hai shair kuchh bhi nahin

(1634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-had Bechaini Hai Lekin Maqsad Zahir Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Deepti Mishra. Be-had Bechaini Hai Lekin Maqsad Zahir Kuchh Bhi Nahin is written by Deepti Mishra. Read famous Poem Be-had Bechaini Hai Lekin Maqsad Zahir Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Deepti Mishra. Free Download Be-had Bechaini Hai Lekin Maqsad Zahir Kuchh Bhi Nahin in PDF.