Hadse Umr-bhar Aazmate Rahe

hadse umr-bhar aazmate rahe

choT kha kha ke hum muskuraate rahe

yun guzarta raha zindagi ka safar

bin tumhaare qadam Dagmagate rahe

aandhiyon se adawat rahi umr-bhar

hum hawaon mein dipak jalate rahe

hajj-o-tirath ko jaane se kya faeda

gar buzurgon ka dil hum dukhate rahe

banT degi siyasat hamein do taraf

hum jo mandir aur masjid banate rahe

'dew' pine ka jis ko saliqa na tha

mai-kade un ki qismat mein aate rahe

(1633) Peoples Rate This

Devesh Dixit's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Hadse Umr-bhar Aazmate Rahe In English By Famous Poet Devesh Dixit. Hadse Umr-bhar Aazmate Rahe is written by Devesh Dixit. Read famous Poem Hadse Umr-bhar Aazmate Rahe for youth and Student by Devesh Dixit. Free Download Hadse Umr-bhar Aazmate Rahe in PDF.