Ek Qatre Ko Dariya Samjha Main Bhi Kaisa Pagal Hun

ek qatre ko dariya samjha main bhi kaisa pagal hun

har sapne ko sachcha samjha main bhi kaisa pagal hun

beach dilon ke wo duri thi tai karna aasan na tha

aankhon ko ek rasta samjha main bhi kaisa pagal hun

baDa kiya tha pal-pos kar phir bhi ek din bichhaD gae

KHwabon ko ek bachcha samjha main bhi kaisa pagal hun

kanTe si KHud meri shohrat har-pal dil mein chubhti hai

fan ko khel-tamasha samjha main bhi kaisa pagal hun

tan par to ujle kapDe the lekin man ke kale the

un logon ko achchha samjha main bhi kaisa pagal hun

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Qatre Ko Dariya Samjha Main Bhi Kaisa Pagal Hun In English By Famous Poet Devmani Pandey. Ek Qatre Ko Dariya Samjha Main Bhi Kaisa Pagal Hun is written by Devmani Pandey. Read famous Poem Ek Qatre Ko Dariya Samjha Main Bhi Kaisa Pagal Hun for youth and Student by Devmani Pandey. Free Download Ek Qatre Ko Dariya Samjha Main Bhi Kaisa Pagal Hun in PDF.