Ada-e-hairat-e-aina-gar Bhi Rakhte Hain

ada-e-hairat-e-aina-gar bhi rakhte hain

hamein na chheD ki ab tak nazar bhi rakhte hain

na gird-o-pesh se is darja be-niyaz guzar

jo be-KHabar se hain sab ki KHabar bhi rakhte hain

kahan gaya teri mahfil mein zom-e-dida-waran

ye hausla to yahan kam-nazar bhi rakhte hain

qafas ko khol magar itna soch le sayyaad

bahut asir tere baal-o-par bhi rakhte hain

farishta hai to taqaddus tujhe mubarak ho

hum aadmi hain to aib-o-hunar bhi rakhte hain

KHusha-nasib ki diwane hain to hum ai 'dil'

kamal-e-nisbat-e-diwana-gar bhi rakhte hain

(970) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ada-e-hairat-e-aina-gar Bhi Rakhte Hain In English By Famous Poet Dil Ayubi. Ada-e-hairat-e-aina-gar Bhi Rakhte Hain is written by Dil Ayubi. Read famous Poem Ada-e-hairat-e-aina-gar Bhi Rakhte Hain for youth and Student by Dil Ayubi. Free Download Ada-e-hairat-e-aina-gar Bhi Rakhte Hain in PDF.