Kya Kahiye Dastan-e-tamanna Badal Gai

kya kahiye dastan-e-tamanna badal gai

un ki badalte hi duniya badal gai

ye daur-e-inqilab hai KHud-noshiyon ka daur

har mai-kade mein gardish-e-mina badal gai

har phul har kali pe barasta hai ab lahu

rangini-e-bahaar-e-chaman kya badal gai

nikhri hui bahaar mein chhaale hain KHun-chakan

apne qadam se qismat-e-sahra badal gai

paiham Tapak paDe jo ba-hasrat huzur-e-dost

in aansuon se sharah-e-tamanna badal gai

aazadi-e-junun ka yahi kya maal tha

zindan se dil-farebi-e-sahra badal gai

wo KHwab-e-zindagi tha jo hum dekhte rahe

ai 'dil' khuli jab aankh to duniya badal gai

(1179) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kahiye Dastan-e-tamanna Badal Gai In English By Famous Poet Dil Shahjahanpuri. Kya Kahiye Dastan-e-tamanna Badal Gai is written by Dil Shahjahanpuri. Read famous Poem Kya Kahiye Dastan-e-tamanna Badal Gai for youth and Student by Dil Shahjahanpuri. Free Download Kya Kahiye Dastan-e-tamanna Badal Gai in PDF.