Khinch Kar Aks Fasane Se Alag Ho Jao

khinch kar aks fasane se alag ho jao

be-numu aaina-KHane se alag ho jao

sara din sath raho sae ki surat apne

sham hote hi bahane se alag ho jao

sher wo likkho jo pahle kahin maujud na ho

KHwab dekho to zamane se alag ho jao

shairi aise jhamelon se bahut aage hai

is nae aur purane se alag ho jao

nind mein hazrat-e-yusuf ko agar dekha hai

ain mumkin hai gharane se alag ho jao

ehtiraman mere halqe mein rahe ho shamil

ehtimaman mere shane se alag ho jao

us ko taswir karo safha-e-dil par 'azar'

ghaib ka naqsh banane se alag ho jao

(903) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khinch Kar Aks Fasane Se Alag Ho Jao In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Khinch Kar Aks Fasane Se Alag Ho Jao is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Khinch Kar Aks Fasane Se Alag Ho Jao for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Khinch Kar Aks Fasane Se Alag Ho Jao in PDF.