Ajab AKHbar Likkha Ja Raha Hai

ajab aKHbar likkha ja raha hai

ki mansha-war likkha ja raha hai

likhi hai haal-e-dil mein hae-hawwaz

ye haal-e-zar likkha ja raha hai

kahin goli likha hai aur kahin mar

ye golimar likkha ja raha hai

main rishta-dar hun us ka so mujh ko

sirishta-dar likkha ja raha hai

mizaj-e-yar barham hai ki us ki

majaz-e-yar likkha ja raha hai

samundar par paDhne ja raha hun

samundar par likkha ja raha hai

(1160) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajab AKHbar Likkha Ja Raha Hai In English By Famous Poet Dilawar Figar. Ajab AKHbar Likkha Ja Raha Hai is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Ajab AKHbar Likkha Ja Raha Hai for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Ajab AKHbar Likkha Ja Raha Hai in PDF.