Karachi Ka Qabristan

ai karachi mulk-e-pakistan ke shahr-e-hasin

marne walon ko jahan milti nahin do gaz zamin

qabr ka milna hi hai awwal to ek TeDha sawal

aur agar mil jae is par daKHl milna hai muhaal

hai yahi surat to ek aisa bhi din aa jaega

aane wala daur murdon par musibat Dhaega

mard man bisyar honge aur ja-e-qabr tang

qabr ki taqsim par murdon mein chhiD jaegi jang

sit qabristan mein pahle wo murde paenge

jo kisi murda minister ki sifarish laenge

corporation karega ek resolution ye pas

ke d ai ab marne walon se kare ye iltimas

aap ko marna hai to pahle se notice dijiye

yani jurm-e-intiqal-e-na-gahan mat kijiye

kuchh mahine ke liye ho jaegi turbat allot

is ke baad aaega notice chhoD dije ye plot

turbat-e-shauhar mein us ki ahliya so jaegi

mahw-e-hairat hun ki turbat kya se kya ho jaegi

ek hi tabut hoga aur murde aaTh das

aap ise tabut kahiye ya priwate bas

ek hi turbat mein so jaenge mahmud o ayaz

dur ho jaega farq-e-banda-o-banda-nawaz

shaer-e-marhum jab zer-e-mazar aa jaega

dusre murdon ko haibat se buKHar aa jaega

us se ye keh kar karenge aur murde ehtijaj

hum ko hota hai tumhaari shaeri se iKHtilaj

KHamushi shahr-e-KHamoshan mein hai dastur-e-azal

tum yahan bhi chheD doge ghair-matbua ghazal

hum kahenge so raho aaram karna farz hai

tum kahoge ho chuka aaram matla arz hai

surKHiyan ye hongi jang o hurriyat mein don mein

Dal li hain jhuggiyan murdon ne qabristan mein

raat do murdon ne hangama kiya zer-e-mazar

ek murda jail mein hai dusra murda farar

ek murda bhag uTha tha chhoD kar gor-o-kafan

qabr par marhum ki hai qabza-e-custodian

bartari jati rahi hifz-e-maraatib miT gaya

ek murda ek police wale ke hathon piT gaya

raat ek turbat pe do murdon mein sauda paT gaya

ek murda panch sau pagDi ke le kar haT gaya

hum to samjhe the hamein hain is jahan mein be-qarar

is jahan walon ko bhi milti nahin rah-e-farar

sirf zindon hi ko fikr-e-aish-o-asaish nahin

ab to is duniya mein murdon ki bhi gunjaish nahin

(1845) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karachi Ka Qabristan In English By Famous Poet Dilawar Figar. Karachi Ka Qabristan is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Karachi Ka Qabristan for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Karachi Ka Qabristan in PDF.