Shadid Garmi Ke Mausam Mein Mushaira

ye mahfil-e-suKHan thi may ke mahine mein

shaer sabhi nahae hue the pasine mein

zinda rahenge hashr tak un shairon ke nam

jo is mushaira mein sunae gae kalam

sadr-e-mushaira ki janab-e-'KHumar' the

bekas the be-watan the gharib-ud-dayar the

'mahir' the be-qarar to 'ahqar' the bad-hawas

'kausar' pukarte the ki pani ka ek glass

'shauq' o 'nushur' o 'sahir' o 'shaer' 'figar' o 'raaz'

ek maqbare mein dafn the jumla shahid-e-naz

aisa bhi ek waqt nazar se guzar gaya

jab 'sabri' ke sabr ka paimana bhar gaya

ye mehman the aur koi mezban na tha

in all-indiyon ka koi qadr-dan na tha

garmi se dil-girafta na tha sirf ek 'amir'

kitne hi shairon ka wahan uTh gaya KHamir

ro ro ke kah raha tha ek ustad-e-dhampur

mara dayar-e-ghair mein mujh ko watan se dur

al-qissa shairon ki wo miTTi hui palid

shaer samajh rahe the ki hum ab hue shahid

wo shaeron ka jamm-e-ghafir ek hall mein

dam toDte hon jaise mariz aspatal mein

wo tishnagi wo habs wo garmi ki al-aman

munh se nikal paDi thi ek ustad ki zaban

shaer the band ek cinema ke haal mein

panchhi phanse hue the shikari ke jal mein

wo pyas thi ki jam-e-qaza mangte the log

wo habs tha ki lu ki dua mangte the log

mausam kuchh aisa garm kuchh itna KHarab tha

shaer jo bazm-e-sher mein aaya kabab tha

bazm-e-suKHan ki raat qayamat ki raat thi

hum shaeron ke haq mein shahadat ki raat thi

kuchh ahl-e-zauq lae the sath apne tauliya

nange badan hi baiThe the kuchh pir o auliya

pajama o qamis na aaya badan ko ras

baiThe the log pahne hue qudrati libas

kaise kahun wo ahl-e-adab bewaquf the

itna zarur hai ki wo mausam-proof the

garmi se muztarib the ye shaer ye samain

kahte the hum pe rahm kar ai rabb-e-alamin

ye aaKHiri gunah to ho jae dar-guzar

ab hum mushaira mein na jaenge bhul kar

ye hosh kis ko tha ki wahan kis ne kya kiya

sab ko ye fikr thi ki mile jald KHun-baha

haalanki jaan bachne ki surat na thi koi

hukm-e-KHuda ki apni qaza multawi hui

(1870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shadid Garmi Ke Mausam Mein Mushaira In English By Famous Poet Dilawar Figar. Shadid Garmi Ke Mausam Mein Mushaira is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Shadid Garmi Ke Mausam Mein Mushaira for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Shadid Garmi Ke Mausam Mein Mushaira in PDF.