Tarhi Ghazal

mushaire ke liye qaid tarah ki kya hai

ye ek tarah ki mashaqqat hai shaeri kya hai

jo chahte hain ki main tarah mein ghazal likkhun

unhen KHabar hi nahin meri policy kya hai

ghazal jo tarah mein likkhi hai kis tarah likkhi

ye puchhne ki kisi ko authority kya hai

ghazal ki shakl badal di hai operation se

suKHan-wari hai agar ye to surgery kya hai

main jab ghazal mein gulistan ka zikr karta hun

wo puchhte hain gulistan ki farsi kya hai

ghazal ke badle agar kuchh muawza mil jae

main sochta hun to phir shaeri buri kya hai

meri ghazal mein taKHallus kisi ka fiT kar do

taKHalluson ki bhi is shahr mein kami kya hai

(2198) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tarhi Ghazal In English By Famous Poet Dilawar Figar. Tarhi Ghazal is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Tarhi Ghazal for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Tarhi Ghazal in PDF.