Rawani Gham Ki Jis Mein Thi Wo Jauhar De Diya Maine

rawani gham ki jis mein thi wo jauhar de diya main ne

ghazal pyasi thi jazbon ka samundar de diya main ne

jis aabaadi mein be-suraj andhera hi andhera tha

use bhi chandni-raaton ka manzar de diya main ne

jo muddat se gire the be-par-o-baali ki khai mein

uDanon ke liye un ko bhi shahpar de diya main ne

jo palkon par saja kar aas ke kuchh KHwab baiThe the

unhen un ki tamannaon ka mazhar de diya main ne

kaho 'dildar' mujh se aur kya ab chahiye tum ko

tumhaare shahr ko tahzib ka ghar de diya main ne

(683) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rawani Gham Ki Jis Mein Thi Wo Jauhar De Diya Maine In English By Famous Poet Dildar Hashmi. Rawani Gham Ki Jis Mein Thi Wo Jauhar De Diya Maine is written by Dildar Hashmi. Read famous Poem Rawani Gham Ki Jis Mein Thi Wo Jauhar De Diya Maine for youth and Student by Dildar Hashmi. Free Download Rawani Gham Ki Jis Mein Thi Wo Jauhar De Diya Maine in PDF.