Mera Ye Malba Mera KHaraba Tumhaari Yaadon Se LaD Raha Hai

mera ye malba mera KHaraba tumhaari yaadon se laD raha hai

usi ki tamir ho rahi hai wo ek ghar jo nahin bacha hai

paDe hue hain jali-bujhi cigareton ke TukDe har ek jagah par

aur ek chehra shagufta chehra tamam ghar mein basa hua hai

laga rahi hai mujhe sada-e-hawa dariche se laDte laDte

mera ye kamra KHamosh kamra kisi ki aahaT se bhar gaya hai

kahin se saye bhi aa gae hain mujhe sunane kahani apni

koi fasana bhi dhire dhire buland manzar se ho raha hai

bula rahin hain mujhe dobara udasiyon ki hasin wadi

kisi ki yaadon ka sabz-mausam abhi bhi taza bana hua hai

jo rang-roghan bikhar rahe hain tamam ghar mein ata hai us ki

bas ek aamad se us ki viran khanDar sa ye ghar bhi ji uTha hai

(707) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Ye Malba Mera KHaraba Tumhaari Yaadon Se LaD Raha Hai In English By Famous Poet Dinesh Naaidu. Mera Ye Malba Mera KHaraba Tumhaari Yaadon Se LaD Raha Hai is written by Dinesh Naaidu. Read famous Poem Mera Ye Malba Mera KHaraba Tumhaari Yaadon Se LaD Raha Hai for youth and Student by Dinesh Naaidu. Free Download Mera Ye Malba Mera KHaraba Tumhaari Yaadon Se LaD Raha Hai in PDF.