Mujh Mein Aabaad Sarabon Ka Ilaqa Karne

mujh mein aabaad sarabon ka ilaqa karne

phir chali aai teri yaad ujala karne

din mera phir bhi kisi taur guzar jaega

raat aaegi udasi ko kushada karne

aur be-waqt chala aata hai sawan mujh mein

ek guzre hue mausam ka taqaza karne

main ne jalte hue sahra mein tera nam liya

saeban KHud hi chala aaya hai saya karne

kaisa lawa hai tah-e-ab yahan aankhon mein

kaun aaya hai samundar ko jazira karne

(667) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujh Mein Aabaad Sarabon Ka Ilaqa Karne In English By Famous Poet Dinesh Naaidu. Mujh Mein Aabaad Sarabon Ka Ilaqa Karne is written by Dinesh Naaidu. Read famous Poem Mujh Mein Aabaad Sarabon Ka Ilaqa Karne for youth and Student by Dinesh Naaidu. Free Download Mujh Mein Aabaad Sarabon Ka Ilaqa Karne in PDF.