Meri MiTTi Mein Jab Na Tha Patthar

meri miTTi mein jab na tha patthar

kaise kah dun ki hai KHuda patthar

shoala-e-ishq ka asar tauba

mom jaisa pighal gaya patthar

jab bhi bazm-e-KHirad mein aaya main

aql par meri paD gaya patthar

gul bichhaun main tere qadmon mein

meri rahon mein tu bichha patthar

rah-e-haq mein yaqin tha hum par

sirf barsenge inT ya patthar

lad gaya jab shajar phalon se koi

us pe sab ne uTha diya patthar

log toDenge bar bar use

shisha-e-dil ko tu bana patthar

narm rassi se ghis na jae jo

mujh ko aisa nahin mila patthar

doston ke hadaf pe hai 'azam'

ab wo barsaen phul ya patthar

(917) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri MiTTi Mein Jab Na Tha Patthar In English By Famous Poet Dr. Azam. Meri MiTTi Mein Jab Na Tha Patthar is written by Dr. Azam. Read famous Poem Meri MiTTi Mein Jab Na Tha Patthar for youth and Student by Dr. Azam. Free Download Meri MiTTi Mein Jab Na Tha Patthar in PDF.