Manzar Hai Abhi Dur Zara Hadd-e-nazar Se

manzar hai abhi dur zara hadd-e-nazar se

saughat-e-safar aur hai asbab-e-safar se

tum mere taaqub ka tasawwur bhi na karna

puchho meri manzil mere TuTe hue par se

main shar ki shararat se to hoshyar hun lekin

allah bachae to bachun KHair ke shar se

barish ne meri TuTi hui chhat nahin dekhi

aangan mein lagi aag to baadal nahin barse

patthar na bana de mujhe mausam ki ye saKHti

mar jaen mere KHwab na tabir ke Dar se

dhul jata hai sab dard meri ruh ka is mein

rahmat jo barasti hai mere dida-e-tar se

tanhai-pasandi meri fitrat ka bhi juz tha

mausam bhi ye kahta hai nikalna nahin ghar se

insan koi ho to main tawiz bana lun

duniya meri bad-tar hui bhuton ke khanDar se

'pinhan' meri ghazlon ko bahut naz hai us par

tasir ki daulat jo mili dast-e-hunar se

(1056) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzar Hai Abhi Dur Zara Hadd-e-nazar Se In English By Famous Poet Dr. Pinhaan. Manzar Hai Abhi Dur Zara Hadd-e-nazar Se is written by Dr. Pinhaan. Read famous Poem Manzar Hai Abhi Dur Zara Hadd-e-nazar Se for youth and Student by Dr. Pinhaan. Free Download Manzar Hai Abhi Dur Zara Hadd-e-nazar Se in PDF.