Aaya Nahin Hai Rah Pe CharKH-e-kuhan Abhi

aaya nahin hai rah pe charKH-e-kuhan abhi

KHatre mein dekhta hun chaman ka chaman abhi

uTThenge apni bazm se mansur saikaDon

kaam ahl-e-haq ke aaenge dar-o-rasan abhi

ranj-o-mehan nigah jo pheren to pher len

lekin mujhe aziz hain ranj-o-mehan abhi

baDhne do aur shauq-e-shahadat awam mein

kuchh banjh to nahin hai ye KHak-e-watan abhi

aankhon ki surKHiyan hain azaem ka ishtihaar

sine sulag rahe hain lagi hai lagan abhi

ye karwan shanawar-e-tufan to hai magar

chehron pe bolti hai safar ki thakan abhi

hain samne hamare riwayat-e-kar-zar

bandhe hue hain sar se mujahid kafan abhi

ban ban ke jaane kitne fana honge somnat

baste hain har gali mein yahan but-shikan abhi

ai shahryar hum se shikasta-dilon mein aa

teri taraf se KHalq ko hai husn-e-zan abhi

raqsan abhi hain sham-e-ghariban ki jhalkiyan

raushan nahin hai KHanda-e-subh-e-watan abhi

jite rahen umid pe rindan-e-tishna-kaam

chalta nahin hai daur-e-sharab-e-kuhan abhi

jin ke lahu se qasr-e-wafa mein jale charagh

in gham-zadon mein aam hain ranj-o-mehan abhi

gulshan se phul chal ke mazaron tak aa gae

lekin hai baghban ki jabin par shikan abhi

hai ilm ki nigah se pinhan rah-e-amal

kahte nahin kafan ko yahan pairahan abhi

nabz-e-bahaar par hain bagulon ki ungliyan

chalne ko chal rahi hai nasim-e-chaman abhi

shabnam ke ashk sukhne deti nahin faza

hansta hai KHud bahaar-e-chaman par chaman abhi

har gam har maqam pe koshish ke bawajud

'danish' na aa saka mujhe jine ka fan abhi

(1080) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaya Nahin Hai Rah Pe CharKH-e-kuhan Abhi In English By Famous Poet Ehsan Danish. Aaya Nahin Hai Rah Pe CharKH-e-kuhan Abhi is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Aaya Nahin Hai Rah Pe CharKH-e-kuhan Abhi for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Aaya Nahin Hai Rah Pe CharKH-e-kuhan Abhi in PDF.