Apni Ruswai Ka Ehsas To Ab Kuchh Bhi Nahin

apni ruswai ka ehsas to ab kuchh bhi nahin

honT hi sun hain KHamoshi ka sabab kuchh bhi nahin

ye ujalon ke jazire ye sarabon ke dayar

sehr-o-afsun ke siwa jashn-e-tarab kuchh bhi nahin

bah gae waqt ke sailab mein jismon ke suhag

ab na wo chashm na ruKHsar na lab kuchh bhi nahin

reza reza hai kisi KHwab-e-zar-afshan ka tilism

fasl-e-gul anjum-o-mahtab ye sab kuchh bhi nahin

mere aansu inhen karte hain ujagar kuchh aur

pahle jo log sabhi kuchh the aur ab kuchh bhi nahin

hum pe to subh se raushan thi ye sham-e-be-kaif

tum ko is sham se andaza-e-shab kuchh bhi nahin

shahr-e-dil shahr-e-KHamoshan ki tarah hai gunjaan

kitna aabaad magar shor-o-shaghab kuchh bhi nahin

ye jahan aalam-e-asbab hai nadan na bano

kaun manega tabahi ka sabab kuchh bhi nahin

rang-o-bu gul se mukar jaen to rahta kya hai

aag bujh jae to suraj ka laqab kuchh bhi nahin

KHol hi KHol hai nau-KHez dabistan-e-KHayal

shor hi shor hai taKHliq-e-adab kuchh bhi nahin

gum raho gum ki yahan jurm hai izhaar-e-kamal

chup raho chup ki yahan nam-o-nasab kuchh bhi nahin

meri taKHrib se yaron ka bhala kya hoga

meri punji to ba-juz zauq-e-adab kuchh bhi nahin

us taraf wa hai dar-e-rahmat-e-yazdan 'danish'

is taraf wusat-e-daman-e-talab kuchh bhi nahin

(1055) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Ruswai Ka Ehsas To Ab Kuchh Bhi Nahin In English By Famous Poet Ehsan Danish. Apni Ruswai Ka Ehsas To Ab Kuchh Bhi Nahin is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Apni Ruswai Ka Ehsas To Ab Kuchh Bhi Nahin for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Apni Ruswai Ka Ehsas To Ab Kuchh Bhi Nahin in PDF.