Jine Ke Liye Jo Mar Rahe Hain

jine ke liye jo mar rahe hain

aaghaz-e-hayat kar rahe hain

hai husn ka nam muft badnam

log apni talab mein mar rahe hain

ghunchon ki tarah khile the kuchh log

kirnon ki tarah bikhar rahe hain

hai naqsh-e-qadam pe naqsh-e-zanjir

diwane jidhar guzar rahe hain

sunta hun ki aap ke wafadar

anjam-e-wafa se Dar rahe hain

sahil ko bhi chhoDte nahin log

kashti pe bhi panw dhar rahe hain

ab dasht mein narm-rau hawa se

kuchh naqsh-e-qadam nikhar rahe hain

ruhon mein nai sahar ke bais

zehnon ke nashe utar rahe hain

hum jaise tamam nam-lewa

dhabba tere nam par rahe hain

KHushbu se ladi bahaar mein bhi

hum dard se bahra-war rahe hain

har daur ke fan-shanas 'danish'

nakaam-e-husul-e-zar rahe hain

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jine Ke Liye Jo Mar Rahe Hain In English By Famous Poet Ehsan Danish. Jine Ke Liye Jo Mar Rahe Hain is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Jine Ke Liye Jo Mar Rahe Hain for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Jine Ke Liye Jo Mar Rahe Hain in PDF.