Nazar Fareb-e-qaza Kha Gai To Kya Hoga

nazar fareb-e-qaza kha gai to kya hoga

hayat maut se Takra gai to kya hoga

ba-zom-e-hosh tajalli ki justuju be-sud

junun ki zad pe KHirad aa gai to kya hoga

nai sahar ke bahut log muntazir hain magar

nai sahar bhi jo kajla gai to kya hoga

na rahnumaon ki majlis mein le chalo mujh ko

main be-adab hun hansi aa gai to kya hoga

shabab-e-lal-o-gul ko pukarne walo

KHizan-sarisht bahaar aa gai to kya hoga

KHushi chhani hai to gham ka bhi e'timad na kar

jo ruh gham se bhi ukta gai to kya hoga

ye fikr kar ki in aasudgi ke dhokon mein

teri KHudi ko bhi maut aa gai to kya hoga

laraz rahe hain jigar jis se kohsaron ke

agar wo lahr yahan aa gai to kya hoga

wo maut jis ki hum 'ehsan' sun rahe hain KHabar

rumuz-e-zist bhi samjha gai to kya hoga

(1148) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Fareb-e-qaza Kha Gai To Kya Hoga In English By Famous Poet Ehsan Danish. Nazar Fareb-e-qaza Kha Gai To Kya Hoga is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Nazar Fareb-e-qaza Kha Gai To Kya Hoga for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Nazar Fareb-e-qaza Kha Gai To Kya Hoga in PDF.