Rahe Jo Zindagi Mein Zindagi Ka Aasra Ho Kar

rahe jo zindagi mein zindagi ka aasra ho kar

wahi nikle sarir-ara qayamat mein KHuda ho kar

haqiqat-dar-haqiqat but-kade mein hai na kabe mein

nigah-e-shauq dhoke de rahi hai rahnuma ho kar

maal-e-kar se gulshan ki har patti larazti hai

ki aaKHir rang-o-bu uD jaenge ek din hawa ho kar

abhi kal tak jawani ke KHumistan the nigahon mein

ye duniya do hi din mein rah gai hai kya se kya ho kar

mere sajdon ki ya rab tishna-kaami kyun nahin jati

ye kya be-e'tinai apne bande se KHuda ho kar

sirisht-e-dil mein kis ne kuT kar bhar di hai betabi

azal mein kaun ya rab mujh se baiTha tha KHafa ho kar

ye pichhli raat ye KHamoshiyan ye Dubte tare

nigah-e-shauq bahki phir rahi hai iltija ho kar

bala se kuchh ho hum 'ehsan' apni KHu na chhoDenge

hamesha be-wafaon se milenge ba-wafa ho kar

(1146) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahe Jo Zindagi Mein Zindagi Ka Aasra Ho Kar In English By Famous Poet Ehsan Danish. Rahe Jo Zindagi Mein Zindagi Ka Aasra Ho Kar is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Rahe Jo Zindagi Mein Zindagi Ka Aasra Ho Kar for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Rahe Jo Zindagi Mein Zindagi Ka Aasra Ho Kar in PDF.