Rang-e-tahzib-o-tamaddun Ke Shanasa Hum Bhi Hain

rang-e-tahzib-o-tamaddun ke shanasa hum bhi hain

surat-e-aina marhun-e-tamasha hum bhi hain

haal o mustaqbil ka kya hum ko sabaq dete hain aap

is qadar to waqif-e-imroz-o-farda hum bhi hain

ba-dil-e-na-KHwasta hanste hain duniya ke liye

warna sach ye hai pasheman-e-tamanna hum bhi hain

kuchh safine hain ki tufan se hai jin ka saz-baz

dekhne walon mein ek bairun-e-dariya hum bhi hain

dekhna hai dekh lo uThti hui mahfil ka rang

subah ke bujhte charaghon ka sambhaala hum bhi hain

kaghzi malbus mein ubhri hai har shakl-e-hayat

ret ki chadar pe ek naqsh-e-kaf-e-pa hum bhi hain

ja-ba-ja bikhre nazar aate hain aasar-e-qadim

pi gain jis ko guzargahen wo dariya hum bhi hain

us haram ki zeb-o-zinat ko KHuda rakkhe magar

mujriman-e-ahd-o-paiman-e-kalisa hum bhi hain

hum se gunja hai adam-abaad ka dasht-e-sukut

aalam-e-arwah ka pahla dhamaka hum bhi hain

hum jab uTh jaenge ye uqda bhi hal ho jaega

raunaq-e-mahfil charaghon ke alawa hum bhi hain

KHak kyun hota nahin jal kar hisar-e-ab-o-gil

ye agar sach hai tere jalwon ka parda hum bhi hain

hum pe jaane kaun sa tufan thopa jaega

jaane kis tazir ki KHatir gawara hum bhi hain

ye sar-e-fihrist aur ehsan-'danish' shadbash

mujrmon mein aap ke nazdik goya hum bhi hain

(1106) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang-e-tahzib-o-tamaddun Ke Shanasa Hum Bhi Hain In English By Famous Poet Ehsan Danish. Rang-e-tahzib-o-tamaddun Ke Shanasa Hum Bhi Hain is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Rang-e-tahzib-o-tamaddun Ke Shanasa Hum Bhi Hain for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Rang-e-tahzib-o-tamaddun Ke Shanasa Hum Bhi Hain in PDF.