Wafa Ka Ahd Tha Dil Ko Sambhaalne Ke Liye

wafa ka ahd tha dil ko sambhaalne ke liye

wo hans paDe mujhe mushkil mein Dalne ke liye

bandha hua hai bahaaron ka ab wahin tanta

jahan ruka tha main kanTe nikalne ke liye

koi nasim ka naghma koi shamim ka rag

faza ko amn ke qalib mein Dhaalne ke liye

KHuda na karda zamin panw se agar khiski

baDhenge tund bagule sambhaalne ke liye

utar paDe hain kidhar se ye aandhiyon ke julus

samundaron se jazire nikalne ke liye

tere saliqa-e-tartib-e-nau ka kya kahna

hamin the qarya-e-dil se nikalne ke liye

kabhi hamari zarurat paDegi duniya ko

dilon ki barf ko shoalon mein Dhaalne ke liye

ye shoabde hi sahi kuchh fusun-garon ko bulao

nai faza mein sitare uchhaalne ke liye

hai sirf hum ko tere KHal-o-KHad ka andaza

ye aaine tu hain hairat mein Dalne ke liye

na jaane kitni masafat se aaega suraj

nigar-e-shab ka janaza nikalne ke liye

main pesh-rau hun isi KHak se ugenge charagh

nigah-o-dil ke ufuq ko ujalne ke liye

fasil-e-shab se koi hath baDhne wala hai

faza ki jeb se suraj nikalne ke liye

kunen mein phenk ke pachhta raha hun ai 'danish'

kamand thi jo minaron par Dalne ke liye

(928) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wafa Ka Ahd Tha Dil Ko Sambhaalne Ke Liye In English By Famous Poet Ehsan Danish. Wafa Ka Ahd Tha Dil Ko Sambhaalne Ke Liye is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Wafa Ka Ahd Tha Dil Ko Sambhaalne Ke Liye for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Wafa Ka Ahd Tha Dil Ko Sambhaalne Ke Liye in PDF.