Sata Rahi Hai Bahut Machhliyon Ki Bas Mujhe

sata rahi hai bahut machhliyon ki bas mujhe

bula raha hai samundar phir apne pas mujhe

hawas ka shisha-e-nazuk hun phuT jaunga

na mar khinch ke is tarah sang-e-yas mujhe

main qaid mein kabhi diwar-o-dar ki rah na saka

na aa saka kabhi shahron ka rang ras mujhe

main tere jism ke dariya ko pi chuka hun bahut

sata rahi hai phir ab kyun badan ki pyas mujhe

mere badan mein chhupa hai samundaron ka fusun

jala sakegi bhala kya ye KHushk ghas mujhe

girega TuT ke sar par ye aasman kabhi

Darae rakhta hai har dam mera qayas mujhe

jhulas raha hun main sadiyon se gham ke sahra mein

magar hai abr-e-gurezan ki phir bhi aas mujhe

(957) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sata Rahi Hai Bahut Machhliyon Ki Bas Mujhe In English By Famous Poet Ehtisham Akhtar. Sata Rahi Hai Bahut Machhliyon Ki Bas Mujhe is written by Ehtisham Akhtar. Read famous Poem Sata Rahi Hai Bahut Machhliyon Ki Bas Mujhe for youth and Student by Ehtisham Akhtar. Free Download Sata Rahi Hai Bahut Machhliyon Ki Bas Mujhe in PDF.