Bite Hue Kal Ka Intizar

baadalon ki tarah kyun

chha gaya hai dil par gham

wo kaun tha jo aaya aur chala gaya

apni yaad ki tarah

qadam ke hasin nishan

chhoD kar gaya jinhen

hawaon ne miTa diya

aur ghubar sa uDa diya

pattharon ki tarah

raste KHamosh hain

raston se kya kahin

fasle hain darmiyan

jo waqt ki tarah chala gaya

wo lauT kar na aaega

sham kyun udas hai

aankh kyun hui hai nam

(1732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bite Hue Kal Ka Intizar In English By Famous Poet Ehtisham Akhtar. Bite Hue Kal Ka Intizar is written by Ehtisham Akhtar. Read famous Poem Bite Hue Kal Ka Intizar for youth and Student by Ehtisham Akhtar. Free Download Bite Hue Kal Ka Intizar in PDF.