Kyun Har Taraf Tu KHwar Hua Ehtisab Kar

kyun har taraf tu KHwar hua ehtisab kar

naraaz kyun hai tujh se KHuda ehtisab kar

hasil to ho gain tujhe sari sahulaten

rizq-e-halal kitna mila ehtisab kar

har din kuredta hai tu apne hi zaKHm ko

kya hai yahi maraz ki dawa ehtisab kar

kab tak rahega raushni ke intizar mein

jalta nahin hai KHud se diya ehtisab kar

gumnam ho gaya hai tu apni hi bazm mein

kin ghalatiyon ki hai ye saza ehtisab kar

apne kiye-dhare ka ab 'ahya' hisab kar

duniya mili ki din mila ehtisab kar

(979) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Har Taraf Tu KHwar Hua Ehtisab Kar In English By Famous Poet Ehya Bhojpuri. Kyun Har Taraf Tu KHwar Hua Ehtisab Kar is written by Ehya Bhojpuri. Read famous Poem Kyun Har Taraf Tu KHwar Hua Ehtisab Kar for youth and Student by Ehya Bhojpuri. Free Download Kyun Har Taraf Tu KHwar Hua Ehtisab Kar in PDF.