Faslon Ki Baat

tum ne faslon ki baat samajh li to tumhein yaad aaega

ki fana hum sab ki taqdir hai

tumhein malum hai? tumhaare

ghar ki siDhiyan chaDhte hue main ne hazar bar

chup-chap

zine ki safed diwaron pe ungliyan pheri hain

is ummid mein ki shayad lams ke

aise zaiqe wahan rah jaen jo tum hamesha

badan ke gunjalak aur be-lafz

zaiqon ki tarah pahchan sako

aur yaad rakho

ab samajh mein aane laga hai

ki koi nazm kabhi ishq aur dard ki asl zaruriyat

puri nahin karti

ki ishq maut ke KHilaf hathiyar nahin

ki hamare lafz hamare maqasid se na-ashna hain

ki mujhe chahat us shaKHs ki hai jo tum ho

ki main mukammal taur pe tumhein

kabhi na jaan paunga

aur tum ne ye tamam muddat

KHud apne mafhum ki talash mein sulagte pighalte

guzari hai

(821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faslon Ki Baat In English By Famous Poet Ejaaz Ahamd Ejaaz. Faslon Ki Baat is written by Ejaaz Ahamd Ejaaz. Read famous Poem Faslon Ki Baat for youth and Student by Ejaaz Ahamd Ejaaz. Free Download Faslon Ki Baat in PDF.