Nazmon Ke Liye Dua-e-KHair

meri tamam kaenat

ghas ke waraq ki tarah sukhne lage

to tum is tanha raste pe aaoge?

taKHliq ke chup malik! aaqa! KHuda!

tum ki khoe houn ke dard muddaton sambhaale rahe ho

us raste pe ki jahan

mujhe kabhi yaqin na ho saka ki pani mangun to kaise

roTi ya aafiyat ya mahz pahchan ki bhik mangun to kaise

tum aaoge?

jale hue jism ke is raste pe?

maut ke dusre sahil pe

dhuen ki tarah pash pash buDhi haDDiyon ki

is sar-zamin pe?

yahan be-nutq lafz ek dusre ka munh takte hain

aur har dua ne lafzon se munh moD liya hai

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazmon Ke Liye Dua-e-KHair In English By Famous Poet Ejaaz Ahamd Ejaaz. Nazmon Ke Liye Dua-e-KHair is written by Ejaaz Ahamd Ejaaz. Read famous Poem Nazmon Ke Liye Dua-e-KHair for youth and Student by Ejaaz Ahamd Ejaaz. Free Download Nazmon Ke Liye Dua-e-KHair in PDF.