Aa Gaya Isar Mere Halqa-e-ahbab Mein

aa gaya isar mere halqa-e-ahbab mein

phir kisi shoale ne pai hai numu barfab mein

kah rahi hai sahilon se Dubne wale ki lash

main ne paya hai sukun ek muztarib girdab mein

kanp uTTha hun warud-e-barish-e-mauuda par

gharq hone ko hai sara shahar sail-e-ab mein

mere hathon mein agar taqdir-e-subh-o-sham ho

titliyan tabir ki rakh dun kitab-e-KHwab mein

KHak ke putle ne aaKHir kar diya ifsha use

dafan tha jo raaz ab tak sina-e-mahtab mein

samne ki chiz mein 'asif' nahin koi kashish

tak na yun hairat se apne aks ko talab mein

(1098) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aa Gaya Isar Mere Halqa-e-ahbab Mein In English By Famous Poet Ejaz Asif. Aa Gaya Isar Mere Halqa-e-ahbab Mein is written by Ejaz Asif. Read famous Poem Aa Gaya Isar Mere Halqa-e-ahbab Mein for youth and Student by Ejaz Asif. Free Download Aa Gaya Isar Mere Halqa-e-ahbab Mein in PDF.