Har Ek Shai Ki Haqiqat Se Ba-KHabar Dekhun

har ek shai ki haqiqat se ba-KHabar dekhun

main apni KHak mein pinhan tujhe bhi gar dekhun

ye kya ki hat baDhaun to sang-reze milen

kahin to main bhi damakte hue guhar dekhun

ho aankh mein kisi chehre ka Dubta manzar

main paniyon mein muqayyad kisi ka ghar dekhun

tamam umr usi sae ki talash karun

ki jis ko dekhna chahun to dar-ba-dar dekhun

nazar ke samne jab ho na koi tere siwa

main teri samt na dekhun to phir kidhar dekhun

hai aarzu yahi 'asif' ki rah-e-zulmat mein

use bhi apni tarah main kabhi niDar dekhun

(684) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Shai Ki Haqiqat Se Ba-KHabar Dekhun In English By Famous Poet Ejaz Asif. Har Ek Shai Ki Haqiqat Se Ba-KHabar Dekhun is written by Ejaz Asif. Read famous Poem Har Ek Shai Ki Haqiqat Se Ba-KHabar Dekhun for youth and Student by Ejaz Asif. Free Download Har Ek Shai Ki Haqiqat Se Ba-KHabar Dekhun in PDF.