Aks Ubhra Na Tha Aaina-e-dil-dari Ka

aks ubhra na tha aaina-e-dil-dari ka

hijr ne khinch diya daera zangari ka

naz karta tha tawalat pe ki waqt-e-ruKHsat

bhed sae pe khula sham ki ayyari ka

jis qadar KHarch kiye sans hui arzani

nirKH girta gaya rasm-o-rah-e-bazari ka

raat ne KHwab se wabasta rifaqat ke ewaz

rasta band rakha din ki numudari ka

aisa viran hua hai ki KHizan roti hai

kal bahut shor tha jis bagh mein gul-kari ka

be-sabab jama to karta nahin tir o tarkash

kuchh hadaf hoga zamane ki sitamgari ka

pa-ba-zanjir kiya tha mujhe aasani ne

marhala ho na saka tai kabhi dushwari ka

mutmain dil hai ajab bhiD se gham-KHwaron ki

silsila tul pakaD le na ye bimari ka

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aks Ubhra Na Tha Aaina-e-dil-dari Ka In English By Famous Poet Ejaz Gul. Aks Ubhra Na Tha Aaina-e-dil-dari Ka is written by Ejaz Gul. Read famous Poem Aks Ubhra Na Tha Aaina-e-dil-dari Ka for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download Aks Ubhra Na Tha Aaina-e-dil-dari Ka in PDF.