Dar Khol Ke Dekhun Zara Idrak Se Bahar

dar khol ke dekhun zara idrak se bahar

ye shor sa kaisa hai meri KHak se bahar

rudad-e-guzishta to suni kuza-gari ki

farda ka bhi kar zikr jo hai chaak se bahar

KHush aaya ajab ishq ko ye jama-e-zeba

nikla nahin phir hijr ki poshak se bahar

chaha tha mafar dil ne magar zulf-e-girah-gir

pechaak banati rahi pechaak se bahar

aata nahin kuchh yaad ki ai saat-e-nisyan

kya rakkha tere taq pe kya taq se bahar

sunta hun kahin dur se naqqara saba ka

utri hai bahaar ab ke bhi KHashak se bahar

kuchh der Thahar aur zara dekh tamasha

napaid hain ye raunaqen is KHak se bahar

maujud KHala mein hain agar aur zaminen

aflak bhi honge kahin aflak se bahar

(735) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar Khol Ke Dekhun Zara Idrak Se Bahar In English By Famous Poet Ejaz Gul. Dar Khol Ke Dekhun Zara Idrak Se Bahar is written by Ejaz Gul. Read famous Poem Dar Khol Ke Dekhun Zara Idrak Se Bahar for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download Dar Khol Ke Dekhun Zara Idrak Se Bahar in PDF.