Dushwar Hai Ab Rasta Aasan Se Aage

dushwar hai ab rasta aasan se aage

rakh umar-e-kuhan pichhla qadam dhyan se aage

aTka hua suraj hai isi ek sabaq par

baDhta nahin din raat ki gardan se aage

qismat ki KHarabi hai ki jata hun ghalat samt

paDta hai bayaban bayaban se aage

pahuncha to nahin main dar-e-waslat pe magar han

sunta hun kahin hai shab-e-hijran se aage

na taKHt na aabaad koi shahr saba ka

ek girya hai diwar-e-sulaiman se aage

KHamyaza hai is aadat-e-israf ka aur bas

jo be-sar-o-samani hai saman se aage

kal shor bapa dil mein tha pahchan ki KHatir

ab sakta hai aazar ka pahchan se aage

nikli na kisi ek ki tabir muafiq

sau KHwab the har KHwab-e-pareshan se aage

(1009) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dushwar Hai Ab Rasta Aasan Se Aage In English By Famous Poet Ejaz Gul. Dushwar Hai Ab Rasta Aasan Se Aage is written by Ejaz Gul. Read famous Poem Dushwar Hai Ab Rasta Aasan Se Aage for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download Dushwar Hai Ab Rasta Aasan Se Aage in PDF.