Itna Tilism Yaad Ke Chaqmaq Mein Raha

itna tilism yaad ke chaqmaq mein raha

raushan charagh dur kisi taq mein raha

maKHfi bhi tha visal ka wo bab-e-muKHtasar

kuchh dil bhi mahw hijr ke asbaq mein raha

sahra ke ishtirak pe raazi the sab fariq

mahmil ka jo fasad tha ushshaq mein raha

mafqud ho gaya hai siyaq-o-sabaq se

jo harf-e-umr saikaDon auraq mein raha

main tha ki jis ke waste paband ahd-e-hijr

wo aur ek hijr ke misaq mein raha

atwar us ke dekh ke aata nahin yaqin

insan suna gaya hai ki aafaq mein raha

KHufta the daen baen kai mar-e-astin

zahrab ka asar mere tiryaq mein raha

tariKH ne pasand kiya bhi kisi sabab

ya bas ki shah-e-waqt tha auraq mein raha

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itna Tilism Yaad Ke Chaqmaq Mein Raha In English By Famous Poet Ejaz Gul. Itna Tilism Yaad Ke Chaqmaq Mein Raha is written by Ejaz Gul. Read famous Poem Itna Tilism Yaad Ke Chaqmaq Mein Raha for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download Itna Tilism Yaad Ke Chaqmaq Mein Raha in PDF.