Qafila Utra Sahra Mein Aur Pesh Wahi Manzar Aae

qafila utra sahra mein aur pesh wahi manzar aae

rakh uDi KHema-gahon ki KHun mein luThDe sar aae

galiyon mein ghamsan ka ran hai marka dast-ba-dast hai yan

jise bhi KHud par naz bahut ho aangan se bahar aae

ek aaseb sa lahraata hai basti ki shah-rahon par

sham Dhale jo ghar se nikle lauT ke phir nahin ghar aae

dinon mahinon aankhen roin nai ruton ki KHwahish mein

rut badli to sukhe patte dahlizon mein dar aae

ek diya raushan rakhna diwar pe chand sitaron sa

abr uThe barish barse ya hawaon ka lashkar aae

warna kis ne par kiya tha rasta bhari dopahron ka

kuchh hum se diwane the jo tai ye masafat kar aae

(895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qafila Utra Sahra Mein Aur Pesh Wahi Manzar Aae In English By Famous Poet Ejaz Gul. Qafila Utra Sahra Mein Aur Pesh Wahi Manzar Aae is written by Ejaz Gul. Read famous Poem Qafila Utra Sahra Mein Aur Pesh Wahi Manzar Aae for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download Qafila Utra Sahra Mein Aur Pesh Wahi Manzar Aae in PDF.