Tham Gai Waqt Ki Raftar Tere Kuche Mein

tham gai waqt ki raftar tere kuche mein

aise sabit hua sayyar tere kuche mein

manzar-e-baam sar-e-did nahin khulta hai

kuchh hai na-dida ka asrar tere kuche mein

har talabgar ko hai hasil-e-guftar-e-sukut

na hai inkar na iqrar tere kuche mein

aaina sham ka raushan ruKH-e-mahtab se kar

aks chamke to ho didar tere kuche mein

waslat-e-kar baham ho ki hain jama din raat

pesha-e-hijr ke be car tere kuche mein

nafa ke khel mein samjha gaya tha taq jise

wo KHasare mein hai hoshyar tere kuche mein

aaKHir-e-umr ne ki raunaq-e-bazar tamam

na dukan hai na KHaridar tere kuche mein

ek muddat se hai tartib mein be-tartibi

na durusti ke hain aasar tere kuche mein

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tham Gai Waqt Ki Raftar Tere Kuche Mein In English By Famous Poet Ejaz Gul. Tham Gai Waqt Ki Raftar Tere Kuche Mein is written by Ejaz Gul. Read famous Poem Tham Gai Waqt Ki Raftar Tere Kuche Mein for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download Tham Gai Waqt Ki Raftar Tere Kuche Mein in PDF.