Dushmanon Ke Darmiyan Sulh

barg-e-awara-sada aae hain

koi aawaza-e-pa lae hain

tere paigham-rasan hain shayad

aur paiman-e-wafa lae hain

guftugu narm hai lahja dhima

ab ke andaz juda lae hain

ek nadamat bhi hai pachhtawa bhi

KHiffar-e-jurm-o-jafa lae hain

aankh mein ashk pashemani ke

honT par harf-e-dua lae hain

sare saman rafugari ke

jeb o daman mein uTha lae hain

marham-e-zaKHm ke ambar ke sath

para-e-KHak-e-shifa lae hain

shaKH-e-zaitun bhi ammame bhi hain

aur abaen bhi sila lae hain

hajr-e-aswad ne chhua hai jis ko

ek aisi bhi rida lae hain

kuchh madine ki khujuron ke tabaq

kasa-e-sar pe saja lae hain

ek mashkiza-e-ab-e-zamzam

pusht-e-nazuk pe uTha lae hain

agle pichhle sabhi maqtulon ka

goya ki KHun-baha lae hain

(960) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dushmanon Ke Darmiyan Sulh In English By Famous Poet Ejaz Gul. Dushmanon Ke Darmiyan Sulh is written by Ejaz Gul. Read famous Poem Dushmanon Ke Darmiyan Sulh for youth and Student by Ejaz Gul. Free Download Dushmanon Ke Darmiyan Sulh in PDF.