Hansne Mein Rone Ki Aadat Kabhi Aisi To Na Thi

hansne mein rone ki aadat kabhi aisi to na thi

teri shoKHi gham-e-furqat kabhi aisi to na thi

ashk aa jaen to palkon pe biThaunga unhen

qatra-e-KHun teri izzat kabhi aisi to na thi

kisht-e-gham aur bhi lahrane lagi hansne lagi

chashm-e-nam teri shararat kabhi aisi to na thi

kitne gham bhul gaya shukriya tera gham-e-yar

yun mujhe teri zarurat kabhi aisi to na thi

wo mujassam bhi jo aa jae to dekhun na use

meri us but ki ibaadat kabhi aisi to na thi

der tak baiThe pa kuchh tu ne na main ne hi kaha

jaisi tujh se hai rifaqat kabhi aisi to na thi

ek ek sher se Tapke hain lahu ke qatre

meri dushman ye tabiat kabhi aisi to na thi

(945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hansne Mein Rone Ki Aadat Kabhi Aisi To Na Thi In English By Famous Poet Ejaz Obaid. Hansne Mein Rone Ki Aadat Kabhi Aisi To Na Thi is written by Ejaz Obaid. Read famous Poem Hansne Mein Rone Ki Aadat Kabhi Aisi To Na Thi for youth and Student by Ejaz Obaid. Free Download Hansne Mein Rone Ki Aadat Kabhi Aisi To Na Thi in PDF.