Maine Kya Kaam La-jawab Kiya

main ne kya kaam la-jawab kiya

us ko aalam mein intiKHab kiya

karam us ke sitam se baDh kar the

aaj jab baiTh kar hisab kiya

kaise moti chhupae aankhon mein

hae kis fan ka iktisab kiya

kaisi majburiyan nasib mein thin

zindagi ki ki ek azab kiya

sath jab gard-e-ku-e-yar rahi

har safar hum ne kaamyab kiya

kuchh hamare likhe gae qisse

bare kuchh daKHil nisab kiya

kya 'obaid' ab use main dun ilzam

apna KHana to KHud KHarab kiya

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Kya Kaam La-jawab Kiya In English By Famous Poet Ejaz Obaid. Maine Kya Kaam La-jawab Kiya is written by Ejaz Obaid. Read famous Poem Maine Kya Kaam La-jawab Kiya for youth and Student by Ejaz Obaid. Free Download Maine Kya Kaam La-jawab Kiya in PDF.