Zalim Se Mustafa Ka Amal Chahte Hain Log

zalim se mustafa ka amal chahte hain log

sukhe hue daraKHt se phal chahte hain log

kafi hai jin ke waste chhoTa sa ek makan

puchhe koi to shish-mahal chahte hain log

sae ki mangte hain rida aaftab se

patthar se aaine ka badal chahte hain log

kab tak kisi ki zulf-e-pareshan ka tazkira

kuchh apni uljhanon ka bhi hal chahte hain log

bar-e-gham-e-hayat se shane hue hain shal

ukta ke zindagi se ajal chahte hain log

rakhte nahin nigah taqazon pe waqt ke

talab ke baghair kanwal chahte hain log

jis ko bhi dekhiye hai wahi dushman-e-sukun

kya daur hai ki jang-o-jadal chahte hain log

darkar hai najat gham-e-rozgar se

mirriKH chahte hain na zuhal chahte hain log

'ejaz' apne ahd ka main tarjuman hun

main jaanta hun jaisi ghazal chahte hain log

(1101) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zalim Se Mustafa Ka Amal Chahte Hain Log In English By Famous Poet Ejaz Rahmani. Zalim Se Mustafa Ka Amal Chahte Hain Log is written by Ejaz Rahmani. Read famous Poem Zalim Se Mustafa Ka Amal Chahte Hain Log for youth and Student by Ejaz Rahmani. Free Download Zalim Se Mustafa Ka Amal Chahte Hain Log in PDF.