Duniya Sabab-e-shorish-e-gham Puchh Rahi Hai

duniya sabab-e-shorish-e-gham puchh rahi hai

ek mohr-e-KHamoshi hai ki honTon pe lagi hai

kuchh aur ziyaada asar-e-tishna-labi hai

jab se teri aankhon se chhalakti hui pi hai

is jabr ka ai ahl-e-jahan nam koi hai

kulfat mein bhi aaram hai gham mein bhi KHushi hai

arbab-e-chaman apni bahaaron se ye puchhen

daman-e-gul-o-ghuncha mein kyun aag lagi hai

ai ham-safaro DhunDh lo aasani-e-manzil

apna to ye dil KHugar-e-mushkil-talabi hai

ai mauja-e-tufan tera dil koi bhi toDe

sahil ne safine ko ek aawaz to di hai

(629) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Sabab-e-shorish-e-gham Puchh Rahi Hai In English By Famous Poet Ejaz Siddiqi. Duniya Sabab-e-shorish-e-gham Puchh Rahi Hai is written by Ejaz Siddiqi. Read famous Poem Duniya Sabab-e-shorish-e-gham Puchh Rahi Hai for youth and Student by Ejaz Siddiqi. Free Download Duniya Sabab-e-shorish-e-gham Puchh Rahi Hai in PDF.