Na-saza Aalam-e-imkan Mein Saza Lagta Hai

na-saza aalam-e-imkan mein saza lagta hai

na-rawa bhi kisi mauqe pe rawa lagta hai

yun to gulshan mein hain sab muddai-e-yak-rangi

bawajud is ke har ek rang juda lagta hai

kabhi dushman to kabhi dost kabhi kuchh bhi nahin

mujhe KHud bhi nahin malum wo kya lagta hai

is ki baaton mein hain andaz ghalat samton ke

ho na ho ye to koi rah-numa lagta hai

na haTa is ko mere jism se ai jaan-e-hayat

hath tera mere zaKHmon ko dawa lagta hai

dur se KHud meri surat mujhe lagti hai bhali

jaane kyun pas se har shaKHs bura lagta hai

rokta hun to ye rukta hi nahin hai 'ejaz'

mujhe har roz-o-shab-e-waqt hawa lagta hai

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na-saza Aalam-e-imkan Mein Saza Lagta Hai In English By Famous Poet Ejaz Siddiqi. Na-saza Aalam-e-imkan Mein Saza Lagta Hai is written by Ejaz Siddiqi. Read famous Poem Na-saza Aalam-e-imkan Mein Saza Lagta Hai for youth and Student by Ejaz Siddiqi. Free Download Na-saza Aalam-e-imkan Mein Saza Lagta Hai in PDF.