Madawa-e-junun Sair-e-gulistan Se Nahin Hota

madawa-e-junun sair-e-gulistan se nahin hota

rafu-e-chaak-e-dil tar-e-gareban se nahin hota

ba-juz manzil kahin rahat nahin milti musafir ko

ilaj-e-abla-pai bayaban se nahin hota

hijab-e-dost ne baKHsha hai wo lutf-e-yaqin dil ko

ki ye aasuda ab husn-e-numayan se nahin hota

jila hoti hai zarf-e-zist par tanqid-e-dana se

mudawa nafs ka chashm-e-sana-KHwan se nahin hota

ba-qadr-e-zarf fitrat karti hai baalidgi dil ki

ye wo kar-e-aham hai jo dabistan se nahin hota

kiya hai ru-shanas-e-afw main ne teri rahmat ko

liya wo kaam isyan se jo iman se nahin hota

jigar ke dagh hi marqad mein kaam 'ejaz' aaenge

ujala aisi zulmat mein charaghan se nahin hota

(929) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Madawa-e-junun Sair-e-gulistan Se Nahin Hota In English By Famous Poet Ejaz Warsi. Madawa-e-junun Sair-e-gulistan Se Nahin Hota is written by Ejaz Warsi. Read famous Poem Madawa-e-junun Sair-e-gulistan Se Nahin Hota for youth and Student by Ejaz Warsi. Free Download Madawa-e-junun Sair-e-gulistan Se Nahin Hota in PDF.