Rah-e-talab Mein Ahl-e-dil Jab Had-e-am Se BaDhe

rah-e-talab mein ahl-e-dil jab had-e-am se baDhe

kashmakash-e-hayat ke aur bhi hausle baDhe

kis se ye puchhiye bhala tishna-labon ko kya mila

kahne ko yun to rose hi saikDon mai-kade baDhe

koshish-e-paiham aafrin manzil ab aa gai qarib

muzhda ho aarzu-e-dil panw ke aable baDhe

aate hi us ne bazm mein ruKH pe naqab Dal li

hae wo manzar-e-hasin jaise diye jale baDhe

waqt ki aazmaishen lati hain zist par nikhaar

phulon ko dekh lijiye kanTon mein jo pale-baDhe

tabish-e-husn-e-yar ne chhin li tab-e-arz-e-shauq

jitne qarib aae wo utne hi fasle baDhe

rahon ke ruKH badal gae manzilen dur ho gain

KHizr ke eatibar par jab kabhi qafile baDhe

(1019) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-talab Mein Ahl-e-dil Jab Had-e-am Se BaDhe In English By Famous Poet Ejaz Warsi. Rah-e-talab Mein Ahl-e-dil Jab Had-e-am Se BaDhe is written by Ejaz Warsi. Read famous Poem Rah-e-talab Mein Ahl-e-dil Jab Had-e-am Se BaDhe for youth and Student by Ejaz Warsi. Free Download Rah-e-talab Mein Ahl-e-dil Jab Had-e-am Se BaDhe in PDF.