Kis Qadar Masala-e-sham-o-sahar Badla Hai

kis qadar masala-e-sham-o-sahar badla hai

jab zara zawiya-e-fikr-o-nazar badla hai

samt-e-manzil ka tayyun nahin do gam ki baat

kitne moD aae hain jab tarz-e-safar badla hai

apni aawaz pe hum chaunk uThe hain KHud bhi

ek zara lahja-e-ehsas agar badla hai

dasht mein bhi kabhi is tarah na ji lagta tha

ab ke diwangi badli hai ki ghar badla hai

aa gaya hai rasan-o-dar ke mamul mein farq

jab kabhi zabta-e-gardan-o-sar badla hai

ab wo yak-rangi-e-mahaul ki talKHi to nahin

hum ne mai badli na ho jam magar badla hai

inqalab aaya hai is tarah bhi ghar mein akasr

dar se diwar na diwar se dar badla hai

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Qadar Masala-e-sham-o-sahar Badla Hai In English By Famous Poet Ezaz Afzal. Kis Qadar Masala-e-sham-o-sahar Badla Hai is written by Ezaz Afzal. Read famous Poem Kis Qadar Masala-e-sham-o-sahar Badla Hai for youth and Student by Ezaz Afzal. Free Download Kis Qadar Masala-e-sham-o-sahar Badla Hai in PDF.