Dhup Sa U Kapul Nari Hai

dhup sa u kapul nari hai

kiran suraj ki wo kanari hai

chhup raqiban sun aana nahin wo chand

kya rain hijr ki andiyari hai

nahin asar karta sabr ka marham

dil-e-ashiq mein zaKHm kari hai

gul-e-bagh-e-junun hai ruswai

izzat-e-mulk-e-ishq KHwari hai

KHun-e-dil baada-o-jigar hai kabab

naghma-e-bazm-e-wasl zari hai

laila majnun ka zikr sard hua

ab tumhaari hamari bari hai

milna aashiq sun hi bahane sun

ye nasihat tuman hamari hai

mujh kun mat jaano yaad sun ghafil

raat din dil kun lau tumari hai

dil bandha saKHt teri zulfan par

aql 'faez' ki un bisari hai

(557) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhup Sa U Kapul Nari Hai In English By Famous Poet Faez Dehlvi. Dhup Sa U Kapul Nari Hai is written by Faez Dehlvi. Read famous Poem Dhup Sa U Kapul Nari Hai for youth and Student by Faez Dehlvi. Free Download Dhup Sa U Kapul Nari Hai in PDF.