Jaan-e-ayyam-e-dilbari Hai Yaad

jaan-e-ayyam-e-dilbari hai yaad

sair-e-gul-zar-o-mai-KHori hai yaad

dekhta nahin suraj kun nazran bhar

jis kun tujh jama-e-zari hai yaad

KHub phuli thi bagh mein nargis

gul-e-sad-barg-o-jafari hai yaad

wo charaghan o chandni ki raat

sair-e-hat-phul o phuljhaDi hai yaad

wo tamasha o khel holi ka

sab ke tan raKHt-e-kesari hai yaad

ho diwana jangal mein kyun na phire

jis ko wo saya-e-pari hai yaad

ai siyah mast meri ankhiyon ki

lal baadal ki tujh jhuri hai yaad

jab tuman pas 'faez' aaya tha

baat kahna bi sarsari hai yaad

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan-e-ayyam-e-dilbari Hai Yaad In English By Famous Poet Faez Dehlvi. Jaan-e-ayyam-e-dilbari Hai Yaad is written by Faez Dehlvi. Read famous Poem Jaan-e-ayyam-e-dilbari Hai Yaad for youth and Student by Faez Dehlvi. Free Download Jaan-e-ayyam-e-dilbari Hai Yaad in PDF.